Darbar mein Raja ke दरबार में राजा के कमीने बैठे हैं Hindi Shayari
Darbar mein Raja ke दरबार में राजा के कमीने बैठे हैं Hindi Shayari सड़क पर धूल में नगीने बैठे हैं
Darbar mein Raja ke दरबार में राजा के कमीने बैठे हैं Hindi Shayari

दरबार में राजा के कमीने बैठे हैं
सड़क पर धूल में नगीने बैठे हैं
हक वही जो मिले सूखने से पहले
तरबतर मज़दूरों के पसीने बैठे हैं
इंसानों से उम्मीद ज़रा कम रखना
बनके हाड़-मांस की मशीनें बैठे हैं
ऊंचाई हमेशा बड़प्पन नहीं होती
छतों पे चढ़के आज ज़ीने बैठे हैं
जो आए थे दर पे एक ठौर मांगने
दबा के आज हमारी ज़मीनें बैठे हैं
बस अब बहुत हुआ खेल मत खेलो
समझो, हम चढ़ा के आस्तीनें बैठे हैं
मौत का डर दिखाता है तो आ भी
हम कौन सा हमेशा जीने बैठे हैं
दरबार में राजा के कमीने बैठे हैं
सड़क पर धूल में नगीने बैठे हैं
Darbar mein Raja ke kamine baithe hain
Sadak pe dhool mein nagine baithe hain
Haq wahi jo mile sookhne se pehle
Tarbatar mazdooron k paseene baithe hain
Insaanon se ummeed zara kam rakhna
Banke haad-maans ki masheene baithe hain
Oonchai hamesha badappan nahin hoti
Chhaton pe chadhke aaj zeene baithe hain
Jo aaye thhey dar pe ek thaur maangne
Vo aaj daba ke hamaari zameene baithe hain
Bas ab bahut hua, khel mat khelo
Samjho, Ham chadha ke aasteene baithe hain
Maut ka dar dikhata hai to aa bhee
Ham kaun sa hamesha jeene baithe hain
Darbar mein Raja ke kamine baithe hain
Sadak pe dhool mein nagine baithe hain